We all have favorites, hai na, might be favorite dress, favorite food, or favorite color, which we say to everyone to our friends and all people we know but kya hum apni un khas favorites ke bare mein sabko batate hai jo hum shayad hamare deepest secret ho, ya fir unhe hum secrets maan kar bade hone ke baad kiddish attitude kehkar hass dete hai ya fir apne secrets ko sabke saamne kehne ke liye favorite ka naam dedete hai. Jo bhi ho par yeh favorite hamesha hamare aas paas hi hota hai, kabhi hume acha lagta hai to kabhi nahi. Like 7th mein mere maths teacher mere favorite teacher but the actually secret is I had a crush on him. Nimbu paani only with a dash of salt, my favorite, I can have it any time (it helps me to cut calories), john abrahim is my favorite (I wish my beau looked like him!!!).
But some time I feel ki hum un chizo ko kahin peeche rakh dete hai, jaise jaise hum bade hote hai hamare favorite kam hote rehte hai, kyoun bachpan mein to itni chizein achi lagti thi par aaj kyoun nahi, or agar aaj lagti bhi hai to unke mayne badal gaye hai. Bachpan balloons fulane mein bhi ache lagte the par ab time ki kami hai balloons kisse chahiye, who sari baatein jinhe hum bachpan ya apna alharpan kehte hai unhe hum aaj waste of time kehte hai, net pe ghanto bethne ya ape mobile pe batein karna Xbox pe game khelna to time waste nahi hai, to fir dosto ke saath har din milna ghanto tak baatein karna, cycle sikhne ke naam par naa jane kahan kahan bhatakna naye raste nikla hum aaj bhul gaye. Shayad apni hi zarurto ko pura karte karte khud ko bhul rahe hai, kyoun aaj white sheet dekhne par hum signature practice karte hai? pehle to likhe hue kagazo par bhi hum drawing kiya karte the, newspaper par bhi crayons chalate the, kya in chizo ke maynein badal gaye hai ya fir hum, kyounki who saari chize to aaj bhi waisi hi hai jaise pehle thi. Bachpan pe ek sikka bhi mil jaaye to use ek kazane ki tarah piggybank mein daalte the par koi sikka louta ta hai to hum keep the change kehte hai. Najaane kitne pencilo ko sirf sharp kiya hai, bas kiska spring sabse lamba hoga iski sharte rakte the par aaj uski jagah parkar pen le li hai, pehle to poochka kitne ache lagte the par aaj utna kutta pasand nahi. Sab kuch to hai aaj par fir bhi wo maza nahi, pehle apna shehar sabse acha lagta tha har nuke chohrahe par wo ice cream or candy floss wala dikhta tha.
Aaj kyoun mujhe sochna par raha hai mera fovrite kya hai kon si who chize hai jo mein pehle karti thi to mujhe kushi milti thi maza aata tha par aaj kitna sochna par raha hai, pehle to aisa nahi tha, kya hai mera favorite baar baar who cindrella ki story panda or fir din bhar khud ko cindrella maan na, chori chori newspaper se Rahul dravid ki photo katkar scrap book banana, rasna peena, school se nikalte waqt wo chane or imli lena. Kyoun apne hi favorite chizo se khud hi dur ho gaye hai hum jo kahin na kahin hume khudse khud ko jorti thi, shayad is bhagte hue zindagi mein abhi bhi der nahi hui apni favorite ko jeena ka. Or koi condition bhi to nahi hai na ek saath kaye chizein favorite ho sakti hai, kyoun ho sirf blue mera favorite jabki mujhe to rasna ka orange color bahot acha lagta hai mera favorite.
Dekha guys its too easy, capture your every moment, abhi bhi hare k baat hamari favorite, mat kaho “I am fan of priyanka chopra” kaho she is my favorite like zaheer is my favorite.. Agar agli baar koi sheet mile to try to sketch, teen flavor ki ice cream eek saath khane mein achi lagti hai to try it again apne bike ya car mein hi sahi kabhi jao naye raste par jahan pehle kabhi nahi gaye, koshish to karke dekho kya aaj bhi balloons phoola sakte ho, fir se rasna pee kar dekho bahut acha lagta hai pepsi, coke or appy fizz better hai, Maggie ko haatho se khao, word file mein hi sahi apni scrapbook firse banao, apni saari favorite chizo ko firse karo. Rainbows banao floweres banao make your life full of colors. Jhule par khare hokar jhulna acha lagta than a to ab kyoun girne ka darr hai, ek baar fir se try to karo bahut saalo ki practice hai. Barish mein medhak ke peeche kudna or use pakarna bhi acha lagta tha par aaj kyoun lagta hai ki haath gande ho jayenge, chalo iss baar try karte hai firse. Maza ayega, woh sab kuch jo hamari favorite hua karti thi jo hume simplicity ko zinda rakhti thi.
Favorite make us happy n smile whenever we think of it
So as I always say be happy and smile always….
Love Deepika
No comments:
Post a Comment